Ab K Safar Kuch Aur Tha, Aur Hi Kuch Saraab Thay

03:09:00 Sunny Malik 0 Comments

Ab K Safar Kuch Aur Tha, Aur Hi Kuch Saraab Thay

Dasht-e-Talab Mein Ja-Ba-Ja, Sang-e-Giraan-e-Khuwaab Thay



Hashar K Din Ka Ghulghula Shehar K Baam-o-Dar Mein Tha

Nigle Huwe Khuwab Thay, Ugle Huwe Jawaab Thay



Ab K Baras, Bahar Ki Rut Bhi Thi Intizar Ki

Lehjon Mein Sail-e-Dard Tha, Aankhon Mein Izteraab Thay



Khuwabon K Chaand Dhal Gaye, Taaron K Dam Nikal Gaye

Pholon K Hath Jal Gaye, Kaise Ye Aftaab Thay



Sahil Ki Rehguzar Huwe, Hoont Na Phir Bhi Tar Huwe

Kesi Ajeeb Piyas Thi Kaisy Ajeeb Sahaab Thay



Umar Isi Tazaad Mein, Rizq-e-Ghubaar Ho Gai

Jism Tha Aur Azaab Thay, Aankhen Theen Aur Khuwaab Thay



Subah Huwi To Shehar K Shor Mein Youn Bikhar Gaye

Jaisay Wo Aadmi Na Thay, Naqsh-o-Nigaar-e-Aab Thay



Aankho'n Mein Khoon Bhar Gaye Rastoo'n Mein Bikhar Gaye

Aane Se Qabal Mar Gaye, Aisey Bhi Inqilaab Thay



Saath Wo Ek Raat Ka, Chashm-e-Zadan Ki Baat Tha

Phir Na Wo Iltefaat Tha, Phir Na Wo Ijtinaab Thay



Rabt Ki Baat Aur Hai, Zabt Ki Baat Aur Hai

Ye Jo Fishaar-e-Khaak Hai, Is Mein Kabhi Gulaab Thay



Abar Baras K Khul Gaye, Jee K Ghubaar Dhul Gaye

Aankh Mein Roo-Numa Huwey, Shehar Jo Zair-e-Aab Thay



Dard Ki Rehguzar Mein, Chalte To Kis Khumaar Mein

Chashm K Be-Nigaah Thi, Hoont K Be-Khitaab Thay..

0 comments: