Darakht-E-Jaan Pe Aazab Rutt Thi,
Darakht-E-Jaan Pe Aazab Rutt Thi,Na Barg Jagey Na Phool Aye,
Bahar Wadi Se Jitny Panchi Edhar Ko Aye Malol Aye,
Wo Saari Khushiyaan Jo Us Ne Chahein,
Utha K Jholi Mein Apni Rakh Lein,
Hamary Hisay Mein Uzzar Aaye, Jawaaz Aaye, Usool Aaye.
Wafa Ki Basti Luti Tu Us K Asason Ka Hisab Thehra,
Kisi K Hisay Mein Zakhm Aaye,Kisi K Hisay Mein Phool Aaye.
Ab Is Qissey Se Faida kiya, K Kon kitna Wafa Nagar Tha,
Jb Us Ki Mehfil Se Uth K Aaey Tu Sari Baton Ko Bhool Aaye.
Banam-E-Fasal-E-Bahar Wo zard Patty He Mutabar Thay,
Jo Hans K Nazr-E-Khizan Huway Hein, Jo Sabz Shakhon Pe Jhool Aaye.
0 comments: